YouTube se Paise Kaise Kamaye - 8 Aasaan Steps mein Poori Jankari
Aapne bahut baar, YouTube se paise kamane ke baare mein bahut logon ko suna hoga. Aur shayad yeh bhi zaroor socha hoga ke “Yaar, main bhi toh aise YouTube se paise kama sakta hu”. Haan, beshaq, laakhon rupay nahi, par thoda bahut toh kam se kam kamane ke skills aur talent har kisi mein hote hai.
Agar aisa kabhi bhi aapke mann mein aaya hai, toh main aapko zaroor batana chahunga ke “Ji Haan, aap bilkul YouTube se paise kama sakte hain”.
YouTube se Paise kamane ke Step-by-Step tarike
Chaliye jaante hain detail mein, step-by-step tarike se, ke kis tarah hum YouTube se paise kama sakte hain.- Apna YouTube Channel banaiye aur badhayein. Aapka channel hi sab kuch hai YouTube par. Har YouTube ke account mein ek channel juda hota hai use. YouTube account hone ka matlab same hai ke Google account hona. YouTube se paise kamane ke liye aapka sabse pehle step hoga: Ek YouTube Channel banana.
- Apna ek account banaiye YouTube par, ya agar aapka pehle se Google / Gmail / YouTube account hai, toh use hi istemal kijiye. Zyada se zyada upyukt Keywords ka istemal kijiye jisse ki log aapka channel aur aapke videos tak pahuch paayein. Keywords bharte samay is baat ka khas dhyan rakhiye ke aapke Videos / Niche ke upyukt hon sabhi Keywords.
- Aapka Username / Channel ka naam – aapke saath, ya aapke virudh bhi kaam kar sakta hai. Iska matlab sirf yeh hai, ke jitna ho sake utna Uchit, Videos se / channel se / Niche se sambandhit, chhota, original aur yaad rakhne mein aasaan hona chahiye, taaki log aapko / aapke videos / aapke YouTube Channel ko yaad rakh paayein. Aur agar aap naya account na bana kar, pehle se hi bana hua account use karna chahte hain, to aap Google account settings mein naam change kar sakte hain.
- YouTube par Videos Updoad karna. Aapke videos ki quality kaafi achhi hona bahut zaroori hai aur saath hi saath dhyan rakhiye ke aapka videos kuch zyada hi lambe na ho jaayein. Aur sabse zyada zaroori hai niyamit roop se YouTube par videos upload karna. Videos aapko regular basis par upload karne chahiye.
- Agar aapke Videos ka content utna badiya na bhi ho, tab bhi “Lage Raho”, rukna mat aur haarna mat kabhi – yehi success ki chabi hai. Apni har ek Video ko apni pehle wali Video se behtar banana ki koshish kariye. Aur aisa karte karte aap sach mein, bahut kuch naya seekhenge.
- Koshish kijiye apne Videos ke content / apni Videos ko behtar banane ki, ya toh Camera badal kar, background badal kar, ya phir editing ka tarika badal kar. Aur videos ko behtar banane ki koshish hamesha kijiye. Achhi roshni, achha video background, achhi pictures, achha music – zyada aakarshit karte hain darshako ko.
- Aapka kaam hona chahiye apne darshako ko koi Service dena aur unhe bandh kar rakhna. Aur darshak tab tak aapke saath rahenge jab tak aap unka achha samay bandh payenge. Achhe aur gyan-vardhak videos darshako ko rok kar rakhte hain.
- Apne videos ka naam rakhte samay dhyan rakhiye ke wo naam aapke video ka ache se varnan kare, chitrit kare aur darshako ko pata lag sake ke aapke video mein kya hoga va unhe kya milega aapka video dekh kar. Aur sambandhit keywords ka hi prayog karein. Tabhi YouTube se search karne par aapka video darshako ke saamne aayega.
- Darshako ko laana. YouTube se paise kamane ke liye bahut zaroori hai darshak aapke videos ko dekhein. Aapke videos par jo ads hongi, unke zariye aap paise tabhi kama sakte hain, jab log / darshak aapke videos par un ads ko dekhein. Zyada se zyada subscribers / darshak / log aapke videos ko dekhein – iska koi shortcut nahi hai. Kuch hai, to bas itna hi ki apne Videos ko itna behtareen banaiye, itni achhi information / useful videos banaiye ke darshak khud aakarshit hon.
- Videos upload karte rahiye aur logon ko roke rakhiye. Aisa karne ke liye aapko regularly apne Videos ko Facebook, WhatsApp, Twitter, Instagram par share karna hoga. Sirf itna hi nahi, agar aur bhi social sites par share kar sake to kariye.
- Agar aapke videos par kuch comments aate hain, to bahut aavashyak hai ke aap apne darshako ko paraspar jawab dein aur bana kar rakhein. Aur aise Videos bhi banayein jinke baare mein aapke darshak comments mein puchte hain ya kuch suggestions dete hain.
- YouTube videos se paise kamaye. Apne YouTube Videos se paise kamana shuru karne ke liye aapko monetization (paise kamana) ko enable (chalu / shuru) karna hoga. Iska matlab sirf itna hi hai ke aap YouTube ko anumati dete hain ke who aapke videos par ads laga sake. Aur iska matlab yeh bhi hai ke aap sweekar karte hain ke aapke videos copyrighted nahin hai aur aapke videos ka prakashan-adhikar aapka hi hai.
- Aisa karne ke liye, YouTube (www.youtube.com) par jaaiye,
- Right side, page ke top pe jo aapki picture hai wahan click karke, options mein se “My Channel” par click karein,
- Ab “Settings” mein, “Account” mein, “View Additional Features” par click karein,
- Yahan par aap “Monetization” ko enable kar paayeinge.
- YouTube se Paise kamane ke liye zaroori. Aapko chahiye ke kam se kam 4,000 ghante (Hours) aapke Videos dekhe ja chuke hain pichle 12 mahino (Months) mein. Aur aapke YouTube Channel ke kam se kam 1000 subscribers hain. – Ye 2 points bahut hi awashyak hain YouTube se paise kamane ke liye.
- Aap apne Video ko upload karte hi Monetization wale button par click karke, “Monetize with Ads” wale box pe tick karke paise kamana shuru kar sakte hain.
- Iske liye, apna video upload karte hi Video Manager mein jaayein aur Dollar Sign ($) pe click karein (jo ki aapki Video ke saath hi dikh raha hoga) aur “Monetize with Ads” wale box pe tick kar dein.
- Google AdSense Setup. Aap apna Google AdSense account bana sakte hain free mein unki website par. Sign up par click karein aur account information bhar kar account create karein. Iske liye aapki umr 18 years se zyada honi chahiye.
- Aur aapko ek PayPal ya phir ek Bank account ki zaroorat hogi iske liye, payments receive karne ke liye. Sath hi AdSense verification ke liye aapko apna address bhi mention karna hoga.
- Vishleshan (Analytics). Jaise hi aapke Channel par kuch videos aati hain, Monetization shuru ho jaati hai, aur darshak dekhna shuru karte hain, tab aap Vishleshan (Analytics) check kar sakte hain apne Videos ke. Ye jaanne ke liye, ke aapke videos kaisa perform kar rahe hain. Iske liye apne Channel menu mein Vishleshan (Analytics) option par click kariye. Aur yahan aapne kitna kamaya, kis video ki kaisi performance rahi, video par views kitne aaye, kitne samay tak kaunsa video dekha gaya, kaunsi ads ne kitna achha response diya etc. etc.
- Aap YouTube Vishleshan (Analytics) ka istemal kar sakte hain, apne Videos ko aur behtar banana mein. Aap yeh sab jankari le kar apne Videos ko, Niche ko, Content ko usi hisab se change / behtar bana sakenge.
- Videos ka Prachar karna va Failana. Apne Videos ko sirf YouTube par dalne pe hi deemit na rahein. Iske alawa ek Blog ya ek Website start karein ya jitna ho sake Social Media sites par share karein apne Videos (sahi aur ache hashtags ke saath). Jitne zyada views milenge utna badiya rahega aapke liye. Jitne zyada views / darshak, utna hi aap YouTube se paise kama payenge.
Upar di gayi saari jaankari aapko help karegi samajhne mein ke YouTube se aap paise kaise kama sakte hain. Aapko bas dhyan rakhna hai kuch bahut hi mehetvapoorn baaton ka;
- Pehla; Aapko achhe Videos banana hain (jitna behtar bana sakein) – darshako ko rok kar rakh sakein aapke Videos.
- Doosra; aapko regular basis par Videos banana hain.
- Teesra; Jitna ho sake, sahi dhang se apne videos ko Social sites (Facebook, Twitter, LinkedIn, WhatsApp, Instagram etc. par share karna hai.
Iss post ko please apne social media sites par, apne friends ke saath zaroor share karein. Aur agar koi bhi comment, feedback, suggestion ho ya aap kuch bhi puchna chahte hain, to please neeche diye comment box mein likhein. Main jald se jald aapko reply karne ki poori koshish karunga.
Comments
Post a Comment