Online Business Ideas in Hindi - Affiliate Marketing 7 Step waala Sahi Tareeka
Internet ko Daily Routine mein shamil karke, Sote hue bhi Paise Kamayein...
Hi Friends, mere is post “Online Business Ideas in Hindi” mein, aaj hum baat karenge Internet ko apni Rozana Zindagee mein shamil karke Gazab ki Daily Income kamaane ki.
Bas itna zaroor yaad rakhiyega ke aapko step by step chalna hai aur Patience / Sabr bahut zaroori hai. Internet se paisa kamana bilkul aasaan nahi hai – Par sirf un logon ke liye jinke paas Patience / Sabr ki kami ho. Jaise aap koi Beej bote hain zameen mein. Beej bone ke baad roz usse agar khol kar dekhenge toh woh beej bekaar ho jaayega aur kabhi bhi nahi upjega.
Beej bone ke baad aap agar use rozana dekhne ki koshish karein (Bine touch kiye) ke woh kitna badha - Toh aap kuch nahi pata laga paayenge. But woh badhega, end mein woh zaroor ek paudha banega. Jabki aap uski roz ka badhna note nahi kar paaenge.
Bilkul aise hi, Internet par kaam karna, Online paise kamana - ek Beej ko zammeen mein Bone jaisa hi hai. Aapko bas beej zameen mein bo kar use poshit karte rehna hai (Sabr / Patience ke saath). Aur main guarantee deta hu, agar aapne uspar achchi mehnat ki toh na hi woh sirf badhega, balki aapko fal (Fruits) bhi dega.
Log Online paise kamaane mein fail sirf isiliye hote hain kyuki, - na woh iss kaam ko seriously lete hain aur na hi Patience / Sabr se poshit karte hain. Yeh ek aisa business hai jo aapko kisi bhi aur business ke barabar ya usse zyada income de sakta hai. Ya kai bar vajah yeh bhi hoti hai ke unke paas koi Online Business shuru karne ke ya try karne ke, Ideas hi nahi hote / options hi nahi hote.
Main aaj yahan, is post mein aapko ek behtareen Idea / Option dene ja raha hun. Par focused reh kar, patience ke saath aur sahi tareeka aapko khud hi apnana hoga.
Agar aapko abhi bhi lagta hai, ke aap Internet pe properly focused reh kar ya dhyaan de kar kaam nahi kar paate, toh mera ek suggestion: Aisa apne aap ko yakeen dilaao ki aapne Rs. 1,00,000 ismein invest kiya hua hai. Jis din aap is baat ko dhyaan mein rakh kar kaam karna shuru karenge, uss din aapka kaam karne ka tareeka / dhang hi kuch alag hoga.
Kya hai Internet Daily Routine mein shaamil karna? - Iska matlab.
Sabse pehle toh - duniya ka sabse aasaan tareeka Internet se ghar baithe kamana hai. Apna Ghar, apna Time, apni manpasand Jagah / Place, apne pasandeeda Kapde pehen kar aaraam se ghar pe ya kahin bhi baith kar internet pe kaam karna. - Kise nahi pasand aayega.Aaj bahut se log Internet se, Blogging se, Websites se paise kama rahe hain, aur yeh sab jaankaari proof ke saath internet pe easily available hai.
Aur aaj main keh sakta hu ki Paisa zyada zaroori nahi jitna Time hai. Maine bahut se log dekhe hain, mere kuch friends International BPOs mein kaam kar rahe hain jo ki monthly 6 Figure salary lete hain.
But unhe 2 hi pareshaniya hai, ke paisa toh bahut hai but kharch karne ke liye Time nahi hai. Kyuki woh din raat office mein kaam karte hain, mehnat karte hain, 1.5 - 2 hours travelling (Cab mein) bitate hain, aur ghar pahuch kar bas neend poori karte hain. Yeh unki daily routine hai.
Iske alawa bhi mere paas bahut se examples hain. But aaj hum iss par baat karenge ki Internet se Paise kamaaye kaise ki humein Paisa bhi mile aur sabse zaroori cheez: Time bhi.
Online Business Ideas in Hindi - Affiliate Marketing
Internet pe aaj Affiliate Marketing sabse zyada popular tareeka hai Internet se Online paise kamane ka. Lekin sabse best online business idea hone ke bawajood, isiko sahi dhang se samjha nahi jaata.Yeh aise hi hai ke aapne apne ek friend / neighbour ko apni jaan pehchaan ki shop se shopping karne ko kaha aur uske shopping karne pe uss shop waale ne aapko kuch commission diya. Aapko us shop mein ya us shop ke liye kaam nahi karna. Aapko roz us shop mein subah subah tayar ho kar jaana nahi hai. Bas jab mood kare tab, ya jab koi mile toh use us shop mein bhejna hai samaan lene ke liye.
Bas yehi hai Affiliate Marketing - Aasaan bhasha (Language) mein...
Affiliate Marketing ke sabse bade fayde:
- Aapko koi paisa nahi lagana / No Investment
- Bechne ke liye koi Product na khareedna hai aur na hi banana hai
- Bahut aasaan hai shuru karna (Kuch Minutes ka kaam hai shuru karna)
- Aap ghar pe ya poore India mein ya poore World mein - kahin se bhi kar sakte hain
- Sote hue bhi aapka yeh kaam chalta rahega - agar tareeke se karein
- Product khareedna, arrange karna, deliver karna, payment lena, product pahuchana, bill banana - sab Bechne waala / Vikreta dekhta hai. Sab uska kaam hai, uski headache hai, humaari nahi.
Lekin bahut se Affiliate Marketing karne waale galat tareeke apnate hain, ya shortcuts apnane ki koshish karte hain aur end mein haar jaate hain. Kuch nahi bana paate.
Affiliate Marketing ki jab baat aati hai toh ek sahi tareeka hai aur ek galat. Main aapko bataaunga aaj ek Sahi Tareeke ke baare main...
Har Business ki tarah yeh bhi dobara ya baar baar aane waale customers / visitors se hi chalta hai. Customers ka dobara aana hi kamaane ka sahi tareeka hai. Sabse pehle yeh dhyan mein rakhne ki zaroorat hai ki humein itne Naye (New) Customers nahi chahiye jitna humein Dubara aane waale customers ki zaroorat hai. So, customers / visitors ke liye kaam aur mehnat karni chahiye, yeh dhyan rakh kar ke woh dubara aayein.
Best 7 Step waala tareeka Success ki taraf (Step-by-Step):
- Koi ek Affiliate Program select karein. Jaise ki: Amazon, ebay, Clickbank, CJ, Flexoffers etc.
- Koi Product choose karein, jismein aapko interest ho, aur jiski aapko knowledge ho.
- Ek Blog Post, Free eBook, Online Page banayein, jisme uss product ke baare main kuch likhein - for example: 300 - 1000 words tak. Reviews, Product ki details, Fayede aur Nuksaan etc.
- Ab promote kariye woh Page / Blog Post / Website apne Social Networks par, jaise ki Facebook, Facebook Groups, Google+, Twitter, LinkedIn, Instagram etc.
(Please yaad rakhiye ke aapko in Affiliate Links ko directly Facebook, Twitter etc. pe promote NAHI karna hai. Warna yeh Social pages aapko kuch samay ke liye Block kar denge kuch bhi post karne se. Isiliye best tareeka yehi hai ke aap visitors ko ek page par le kar aayein, jis page par aap Affiliate Links use karenge.)
- Koshish kijiye uss Page / Blog / Website par "Subscription Form" lagane ki, jisse ki aap visitors ke email ids collect kar paayein.
- Week mein kam se kam ek post / page tayaar kijiye aur apne visitors ko email kijiye woh post ya uska description. Taaki woh visitors aapke post / page par dobara visit karein.
- Page par apne post ke hisaab se unhe salah dein ke woh aapka pasandeeda product use karke dekhein (Yeh product Affiliate Link waala Product hi hoga).
Ab aapko New Customer nahi dhundna padhega apne Affiliate Links ke liye. Ab aap jab bhi, jitne bhi blog posts, reviews ya articles likhenge - woh sab emails ke zariye apne subscribers ko bhej paayenge. Aur aapke posts ko pasand karne waale saare visitors aapki site pe har baar aana aur padhna pasand karenge.
Kaunsa visitor kab aayega, kaunsa visitor customer mein convert hoga, kaunsa visitor kaunsa product lega aur kab lega, aapko kuch nahi pata. Matlab? - Ab aap sote hue bhi paise kama paayenge...
Main isse pehle bhi "9 Online Business Ideas in Hindi" par ek post share kar chuka hu, jo aap padh sakte hain. Jismein Affiliate Marketing ke baare mein intro diya hai.
Mera yeh post "Online Business Ideas in Hindi - Affiliate Marketing ka Sahi Tareeka" agar aapko pasand aaya, ya agar aapke paas koi sujhav, feedback, suggestion ka kuch bhi aap kehna, puchna ya share karna chahein, toh please neeche diye gaye comment box mein zaroor likhein.
Comments
Post a Comment